Har KHauf Har KHatar Se Guzarna Bhi Sikhiye

har KHauf har KHatar se guzarna bhi sikhiye

jina hai gar aziz to marna bhi sikhiye

ye kya ki Dub kar hi mile sahil-e-najat

sailab-e-KHun se par utarna bhi sikhiye

aisa na ho ki KHwab hi rah jae zindagi

jo dil mein Thaniye use karna bhi sikhiye

bigDe bahut kashakash-e-naz-o-niyaz mein

ab us ki anjuman mein sanwarna bhi sikhiye

hota hai pastiyon ke muqaddar mein bhi uruj

ek mauj-e-tah-nashin ka ubharna bhi sikhiye

auron ki sard-mehri ka shikwa baja 'sahar'

KHud apne dil ko pyar se bharna bhi sikhiye

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har KHauf Har KHatar Se Guzarna Bhi Sikhiye In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Har KHauf Har KHatar Se Guzarna Bhi Sikhiye is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Har KHauf Har KHatar Se Guzarna Bhi Sikhiye for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Har KHauf Har KHatar Se Guzarna Bhi Sikhiye in PDF.