Goya Chaman Chaman Na Tha

goya chaman chaman na tha

aisa ujaD ban na tha

KHun se tar rawish rawish

rang-e-gul-o-saman na tha

KHar-e-alam se tar tar

kaun sa pairahan na tha

sikka-e-dil KHarab-haal

us ka kahin chalan na tha

aaj agar guzar gaya

kal ka koi jatan na tha

bazm-e-adab bhi dam-ba-KHud

kahne ko kuchh suKHan na tha

nasr tamam tar fuzul

sher asar-e-fagan na tha

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Goya Chaman Chaman Na Tha In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Goya Chaman Chaman Na Tha is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Goya Chaman Chaman Na Tha for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Goya Chaman Chaman Na Tha in PDF.