Chand Ka Raqs Sitaron Ka Fusun Mangti Hai

chand ka raqs sitaron ka fusun mangti hai

zindagi phir koi andaz-e-junun mangti hai

muddaten guzrin ki yaKH-basta hue qalb-o-jigar

ghairat-e-ishq magar soz-e-darun mangti hai

faiz-e-mausam tha parinde hue aazad magar

KHu-e-sayyaad wahi said-e-zabun mangti hai

fasl-e-gul ke liye kya jaan pe khele koi

ab to har mauj-e-hawa tohfa-e-KHun mangti hai

kuchh to ai yurish-e-alam-o-hawadis dam le

gardish-e-waqt bhi thoDa sa sakun mangti hai

KHubi-e-fan nahin parwarda-e-awurd 'sahar'

ruh-e-taKHliq dam-e-kun-fa-yakun mangti hai

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ka Raqs Sitaron Ka Fusun Mangti Hai In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Chand Ka Raqs Sitaron Ka Fusun Mangti Hai is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Chand Ka Raqs Sitaron Ka Fusun Mangti Hai for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Chand Ka Raqs Sitaron Ka Fusun Mangti Hai in PDF.