Bastiyan LuTti Hain KHwabon Ke Nagar Jalte Hain

bastiyan luTti hain KHwabon ke nagar jalte hain

hum wahan hain ki jahan sham-o-sahar jalte hain

dil ke aiwan mein afsurda charaghon ka dhuan

dur kuchh dur wo yaadon ke khanDar jalte hain

phir kisi manzil-e-jaan-soz ki jaanib hain rawan

chob-e-sahra ki tarah ahl-e-safar jalte hain

yun to pur-amn hai ab shahr-e-sitamgar lekin

kuchh makan KHud hi sar-e-rahguzar jalte hain

hai ba-zahir koi shoala na chamak aur sharar

hum kisi gham mein ba-andaz-e-digar jalte hain

aatish-e-talKHi-e-haalat mein kya kuchh na jala

ab gila kya hai jo ehsas ke par jalte hain

go ho barfab bhi taskin hai dushwar 'sahar'

apni hi aag mein arbab-e-hunar jalte hain

(1415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bastiyan LuTti Hain KHwabon Ke Nagar Jalte Hain In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Bastiyan LuTti Hain KHwabon Ke Nagar Jalte Hain is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Bastiyan LuTti Hain KHwabon Ke Nagar Jalte Hain for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Bastiyan LuTti Hain KHwabon Ke Nagar Jalte Hain in PDF.