Ab Tak Ilaj-e-ranjish-e-be-ja Na Kar Sake

ab tak ilaj-e-ranjish-e-be-ja na kar sake

ek umr mein bhi husn ko apna na kar sake

thi ek rasm-e-ishq so hum ne bhi ki ada

duniya mein koi kaam anokha na kar sake

kal raat dil ke sath bujhe is tarah charagh

yaadon ke silsile bhi ujala na kar sake

ab is se kya gharaz hai ki anjam kya hua

ye to nahin ki teri tamanna na kar sake

KHud ishq hi ko de gae ruswaiyon ke dagh

wo raaz-e-husn hum jinhen ifsha na kar sake

zauq-e-junun ko ras nahin tang bastiyan

sahra na ho to kya koi diwana kar sake

har imtiyaz us ke liye hech hai 'sahar'

jo apni zindagi ko tamasha na kar sake

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tak Ilaj-e-ranjish-e-be-ja Na Kar Sake In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Ab Tak Ilaj-e-ranjish-e-be-ja Na Kar Sake is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Ab Tak Ilaj-e-ranjish-e-be-ja Na Kar Sake for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Ab Tak Ilaj-e-ranjish-e-be-ja Na Kar Sake in PDF.