Kaam Har ZaKHm Ne Marham Ka Kiya Ho Jaise

kaam har zaKHm ne marham ka kiya ho jaise

ab kisi se koi shikwa na gila ho jaise

umr-bhar ishq ko gham-dida na rakkhe kyunkar

hadisa wo ki abhi kal hi hua ho jaise

ek muddat hui dekha tha jise pahle-pahal

tere chehre mein wahi chehra chhupa ho jaise

husn ke bhed ka pa lena nahin hai aasan

hai ye wo raaz ki raazon mein pala ho jaise

dur tak ek nigah ja ke Thahar jati hai

waqt ka fasla kuchh DhunD raha ho jaise

yaad-e-mazi se ye afsurda si raunaq dil mein

aaKHir-e-shab koi darwaza khula ho jaise

hazl ko log 'sahar' aaj ghazal kahte hain

zauq-e-sheri pe bura waqt paDa ho jaise

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaam Har ZaKHm Ne Marham Ka Kiya Ho Jaise In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Kaam Har ZaKHm Ne Marham Ka Kiya Ho Jaise is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Kaam Har ZaKHm Ne Marham Ka Kiya Ho Jaise for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Kaam Har ZaKHm Ne Marham Ka Kiya Ho Jaise in PDF.