Phulon Ki Talab Mein ThoDa Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin

phulon ki talab mein thoDa sa aazar nahin to kuchh bhi nahin

KHud aa ke jo uljhe daman se wo KHar nahin to kuchh bhi nahin

ho din ki fazaon ka sargam ya bhigti raaton ka aalam

kitna hi suhana ho mausam dildar nahin to kuchh bhi nahin

kyun ahl-e-sitam ka dil toDen phir shahr mein chal kar sar phoDen

sahra-e-junun ko ab chhoDen diwar nahin to kuchh bhi nahin

har mauj-e-bala ek sahil hai girdab hi apna hasil hai

ye kashti-e-dil wo qatil hai manjhdar nahin to kuchh bhi nahin

kya miThe bol sunate ho kya git anokhe gate ho

kya naghmon par itraate ho jhankar nahin to kuchh bhi nahin

ye nam o numud ki KHwahish kya ye ilm o fan ki numaish kya

apna to aqida hai ye 'sahar' meyar nahin to kuchh bhi nahin

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Ki Talab Mein ThoDa Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Phulon Ki Talab Mein ThoDa Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Phulon Ki Talab Mein ThoDa Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Phulon Ki Talab Mein ThoDa Sa Aazar Nahin To Kuchh Bhi Nahin in PDF.