Sab Ek Na Ek Sarab Ke Chakkar Mein Rah Gae
sab ek na ek sarab ke chakkar mein rah gae
kya pher aadmi ke muqaddar mein rah gae
kya dard-e-mushtarak tha zamir-e-sukut mein
kho kar jo hum udas se manzar mein rah gae
ye dasht-e-zist aur ye KHara-tarashiyan
jalwe hunar ke sina-e-azar mein rah gae
dekha sanam-kadon ko to aksar hua KHayal
wo naqsh-e-jawedan the jo patthar mein rah gae
darwaze wa the phir bhi ajab be-dari si thi
hum KHud asir ho ke khule ghar mein rah gae
yun bhi gham o nashat ka qissa na ho tamam
insan Dhal ke yas ke paikar mein rah gae
milta nahin koi sar-e-shorida ab 'sahar'
patthar hi bas dayar-e-sitamgar mein rah gae
(967) Peoples Rate This