Sab Ki Aaankhon Mein Jo Samaya Tha

sab ki aaankhon mein jo samaya tha

kaun tha wo kahan se aaya tha

kis ne ki aaj pursish-e-ahwal

koi apna tha ya paraya tha

miT gae hum to ye hua malum

bhul kar koi muskuraya tha

ek lazzat thi KHud-farebi mein

warna kis ne fareb khaya tha

aa gain yaad phir wahi baaten

kal ba-mushkil jinhen bhulaya tha

sab the aaseb-e-bazm ke mare

hum pe tanhaiyon ka saya tha

umr guzri 'sahar' mohabbat mein

hum ne dil kuchh ajib paya tha

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Ki Aaankhon Mein Jo Samaya Tha In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Sab Ki Aaankhon Mein Jo Samaya Tha is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Sab Ki Aaankhon Mein Jo Samaya Tha for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Sab Ki Aaankhon Mein Jo Samaya Tha in PDF.