Waqt Ghamnak Sawalon Mein Na Barbaad Karen

waqt ghamnak sawalon mein na barbaad karen

kuchh na kuchh sai-e-ilaj-e-dil-e-nashad karen

ishq ko husn ke atwar se kya nisbat hai

wo hamein bhul gae hum to unhen yaad karen

bastiyan kar chuke viran tere diwane

ab ye lazim hai KHaraba koi aabaad karen

tah mein go hikmat-e-parwez hai raqsan lekin

kaam har ek ba-nam-e-gham-e-farhad karen

hujjat-o-illat-e-malul hai yaron mein 'sahar'

be-sabab shai ka bhi koi sabab ijad karen

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ghamnak Sawalon Mein Na Barbaad Karen In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Waqt Ghamnak Sawalon Mein Na Barbaad Karen is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Waqt Ghamnak Sawalon Mein Na Barbaad Karen for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Waqt Ghamnak Sawalon Mein Na Barbaad Karen in PDF.