Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya

aage wo ja bhi chuke lutf-e-nazara bhi gaya

chashm-e-ghaflat na khuli subh ka tara bhi gaya

sard-mehri se teri garmi-e-ulfat na rahi

dil mein uThta tha jo har-dam wo sharara bhi gaya

dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi

jis ko dhoka main samajhta tha wo dhoka bhi gaya

ishq ko tab-e-tajalli nahin kya dekhega

husn ye jaan ke pardon ko uThata bhi gaya

kis ne pai hai gham-e-yar-e-mohabbat se najat

ishq ka bojh kahin sar se utara bhi gaya

tere qadmon pe jo lazzat hai wo hasil na hui

yun to sajde mein sar-e-ijz jhukaya bhi gaya

dil ki aashufta-mizaji mein na kuchh farq aaya

barha zulf-e-pareshan ko sanwara bhi gaya

mangne se kahin ye chiz mila karti hai

dil churane hi ke qabil tha churaya bhi gaya

be-KHudi tujh pe tasadduq hon mere hosh-o-hawas

samne hote hue un ko pukara bhi gaya

ek hi chiz hai parde mein ki bairun-e-hijab

mujh ko zahir bhi kiya KHud ko chhupaya bhi gaya

phir bhi aankhen rahin mahrum-e-tamasha-e-jamal

un ki taswir ko shishe mein utara bhi gaya

chhoD kar mujh ko bhanwar mein na KHabar li meri

ek sahaara tha tumhaara wo sahaara bhi gaya

pa-e-mahbub pe sar rakh ke hue hum 'wasil'

zindagi pai nai maut ka dhaDka bhi gaya

dil ke aaine mein nadida tajalli dekhi

KHud-numai ka bhala ho ki wo parda bhi gaya

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya In English By Famous Poet Abu Mohammad Wasil. Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya is written by Abu Mohammad Wasil. Read famous Poem Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya for youth and Student by Abu Mohammad Wasil. Free Download Aage Wo Ja Bhi Chuke Lutf-e-nazara Bhi Gaya in PDF.