Agar Meri Jabin-e-shauq Waqf-e-bandagi Hoti

agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

to phir mahshur un ke sath apni zindagi hoti

jo taswir-e-KHyali naqsh dil par ho gai hoti

to apni zat mein har-dam teri jalwa-gari hoti

raza-e-dost par qurban jis ki har KHushi hoti

haqiqat mein usi ki gham se KHali zindagi hoti

nigah-e-mast-e-saqi se jo mai-KHwaron ne pi hoti

yaqinan hashr tak un ko na phir tishna-labi hoti

husul-e-dard-o-gham ki koshishon mein gar kami hoti

surur-o-kaif ki lazzat kahan mujh ko mili hoti

mujhe wo baaton baaton mein agar diwana kah dete

to diwanon mein meri mo'atabar diwangi hoti

tere mashq-e-sitam hi ne kisi qabil kiya mujh ko

tera ehsan warna zindagi kis kaam ki hoti

tumhaara aaina ban kar jo dil pesh-e-nazar rahta

tumhin tum jalwa-gar hote na surat dusri hoti

tasawwur hi ke aalam mein jo wo taklif farmate

to kyun furqat-nasibon ke liye shab hijr ki hoti

agar teri tarah tabligh karta pir-e-mai-KHana

to duniya-bhar mein waiz mai-kashi hi mai-kashi hoti

tumhaari be-niyazi ko gharaz kab hai magar meri

tamanna hai jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

hayat-o-maut ka paigham deta har-nafas 'wasil'

kabhi ru-posh wo hote kabhi jalwa-gari hoti

jo mabudan-e-baatil ki jahan mein sarwari hoti

muqabil haidari ke past kyun kar marhabi hoti

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Meri Jabin-e-shauq Waqf-e-bandagi Hoti In English By Famous Poet Abu Mohammad Wasil. Agar Meri Jabin-e-shauq Waqf-e-bandagi Hoti is written by Abu Mohammad Wasil. Read famous Poem Agar Meri Jabin-e-shauq Waqf-e-bandagi Hoti for youth and Student by Abu Mohammad Wasil. Free Download Agar Meri Jabin-e-shauq Waqf-e-bandagi Hoti in PDF.