Naqsh-e-yaqin Tera Wajud-e-wahm Bujha Guman Bujha

naqsh-e-yaqin tera wajud-e-wahm bujha guman bujha

kar-e-habib ke tufail rauzan-e-raegan bujha

fard-e-siyah ko meri nok-e-sinan pe lae the

un ki nigah paD gai arsa-e-imtihan bujha

mast-rawi ke darmiyan kaun qadam qadam gine

mishal-e-dil kahan jali shoala-e-jaan kahan bujha

mere junun ka silsila marhala-war ho gaya

pahle zamin bujh gai baad mein aasman bujha

razm-e-gah-e-hayat mein main na utar saka kabhi

ishq-e-zamana-KHez mein sara yahan wahan bujha

shauq ke dasht kho gae shahr sarab ho gae

barish-e-zar hui bahut halqa-e-tishnagan bujha

'haqqi'-e-dil-girafta ke bas mein na jaane kab nahin

hijr mein shad-kaam tha wasl ke darmiyan bujha

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh-e-yaqin Tera Wajud-e-wahm Bujha Guman Bujha In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Naqsh-e-yaqin Tera Wajud-e-wahm Bujha Guman Bujha is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Naqsh-e-yaqin Tera Wajud-e-wahm Bujha Guman Bujha for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Naqsh-e-yaqin Tera Wajud-e-wahm Bujha Guman Bujha in PDF.