Aage Harim-e-gham Se Koi Rasta Na Tha

aage harim-e-gham se koi rasta na tha

achchha hua ki sath kisi ko liya na tha

daman-e-chaak chaak gulon ko bahana tha

dil ka jo rang tha wo nazar se chhupa na tha

rang-e-shafaq ki dhup khili thi qadam qadam

maqtal mein subh-o-sham ka manzar juda na tha

kya bojh tha ki jis ko uThae hue the log

muD kar kisi ki samt koi dekhta na tha

kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine

dil us ko DhunDhta tha jise jaanta na tha

kuchh log sharmsar KHuda jaane kyun hue

apne siwa hamein to kisi se gila na tha

har ek qadam uTha tha nae mausamon ke sath

wo jo sanam tarash tha but pujta na tha

jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ata hua

us aastan-e-shauq pe sajda rawa na tha

aandhi mein barg-e-gul ki zaban se ada hua

wo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aage Harim-e-gham Se Koi Rasta Na Tha In English By Famous Poet Ada Jafri. Aage Harim-e-gham Se Koi Rasta Na Tha is written by Ada Jafri. Read famous Poem Aage Harim-e-gham Se Koi Rasta Na Tha for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Aage Harim-e-gham Se Koi Rasta Na Tha in PDF.