Aalam Hi Aur Tha Jo Shanasaiyon Mein Tha

aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha

jo dip tha nigah ki parchhaiyon mein tha

wo be-panah KHauf jo tanhaiyon mein tha

dil ki tamam anjuman-araiyon mein tha

ek lamha-e-fusun ne jalaya tha jo diya

phir umr bhar KHayal ki ranaiyon mein tha

ek KHwab-gun si dhup thi zaKHmon ki aanch mein

ek saeban sa dard ki purwaiyon mein tha

dil ko bhi ek jarahat-e-dil ne ata kiya

ye hausla ki apne tamashaiyon mein tha

kaTta kahan tawil tha raaton ka silsila

suraj meri nigah ki sachchaiyon mein tha

apni gali mein kyun na kisi ko wo mil saka

jo e'timad baadiya-paimaiyon mein tha

is ahd-e-KHud-sipas ka puchho ho majra

masruf aap apni paziraiyon mein tha

us ke huzur shukr bhi aasan nahin 'ada'

wo jo qarib-e-jaan meri tanhaiyon mein tha

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam Hi Aur Tha Jo Shanasaiyon Mein Tha In English By Famous Poet Ada Jafri. Aalam Hi Aur Tha Jo Shanasaiyon Mein Tha is written by Ada Jafri. Read famous Poem Aalam Hi Aur Tha Jo Shanasaiyon Mein Tha for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Aalam Hi Aur Tha Jo Shanasaiyon Mein Tha in PDF.