Aankhon Mein Rup Subh Ki Pahli Kiran Sa Hai

aankhon mein rup subh ki pahli kiran sa hai

ahwal ji ka zulf-e-shikan-dar-shikan sa hai

kuchh yaadgar apni magar chhoD kar gain

jati ruton ka haal dilon ki lagan sa hai

aankhen baras gain to nikhaar aur aa gaya

yaadon ka rang bhi to gul-o-yasman sa hai

kis moD par hain aaj hum ai rahguzar-e-naz

ab dard ka mizaj kisi ham-suKHan sa hai

hai ab bhi rang rang-e-tamanna ka pairahan

KHwabon ke sath ab bhi wahi husn-e-zan sa hai

kin manzilon luTe hain mohabbat ke qafile

insan zamin pe aaj gharib-ul-watan sa hai

wo jis ka sath chhoD chuka naz-e-agahi

ab bhi talash-e-rah mein wahi rahzan sa hai

shaKHon ka rang-rup KHizan le gai magar

andaz aaj bhi wahi arbab-e-fan sa hai

KHushbu ke thamne ko baDhae hain hath 'ada'

daman-e-arzu bhi saba-pairahan sa hai

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Rup Subh Ki Pahli Kiran Sa Hai In English By Famous Poet Ada Jafri. Aankhon Mein Rup Subh Ki Pahli Kiran Sa Hai is written by Ada Jafri. Read famous Poem Aankhon Mein Rup Subh Ki Pahli Kiran Sa Hai for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Aankhon Mein Rup Subh Ki Pahli Kiran Sa Hai in PDF.