Achanak Dilruba Mausam Ka Dil-azar Ho Jaana

achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana

dua aasan nahin rahna suKHan dushwar ho jaana

tumhein dekhen nigahen aur tum ko hi nahin dekhen

mohabbat ke sabhi rishton ka yun nadar ho jaana

abhi to be-niyazi mein taKHatub ki si KHushbu thi

hamein achchha laga tha dard ka dildar ho jaana

agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo

hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana

abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hain kunj-e-mizhgan mein

agar tum is taraf aao saba-raftar ho jaana

hawa to ham-safar Thahri samajh mein kis tarah aae

hawaon ka hamari rah mein diwar ho jaana

abhi to silsila apna zamin se aasman tak tha

abhi dekha tha raaton ka sahar-asar ho jaana

hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai

kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achanak Dilruba Mausam Ka Dil-azar Ho Jaana In English By Famous Poet Ada Jafri. Achanak Dilruba Mausam Ka Dil-azar Ho Jaana is written by Ada Jafri. Read famous Poem Achanak Dilruba Mausam Ka Dil-azar Ho Jaana for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Achanak Dilruba Mausam Ka Dil-azar Ho Jaana in PDF.