Har Gam Sambhal Sambhal Rahi Thi

har gam sambhal sambhal rahi thi

yaadon ke bhanwar mein chal rahi thi

sanche mein KHabar ke Dhal rahi thi

ek KHwab ki lau se jal rahi thi

shabnam si lagi jo dekhne main

patthar ki tarah pighal rahi thi

rudad safar ki puchhte ho

main KHwab mein jaise chal rahi thi

kaifiyyat-e-intizar-e-paiham

hai aaj wahi jo kal rahi thi

thi harf-e-dua si yaad us ki

zanjir-e-firaq gal rahi thi

kaliyon ko nishan-e-rah dikha kar

mahki hui raat Dhal rahi thi

logon ko pasand laghzish-e-pa

aise mein 'ada' sambhal rahi thi

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gam Sambhal Sambhal Rahi Thi In English By Famous Poet Ada Jafri. Har Gam Sambhal Sambhal Rahi Thi is written by Ada Jafri. Read famous Poem Har Gam Sambhal Sambhal Rahi Thi for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Har Gam Sambhal Sambhal Rahi Thi in PDF.