His Nahin TaDap Nahin Bab-e-ata Bhi Kyun Khule

his nahin taDap nahin bab-e-ata bhi kyun khule

hum hain girafta-dil abhi hum se saba bhi kyun khule

ab ye udas din hamein sath liye liye phire

KHwab bujhe to kya raha kali ghaTa bhi kyun khule

dil ka koi ziyan nahin jaan ka moamla nahin

hath mein ek diya nahin mauj-e-hawa bhi kyun khule

yan kisi rahguzar pe kuchh naqsh-e-qadam paDe rahe

qasid-e-KHush-KHabar nahin shahr-e-saba bhi kyun khule

umr tamam kaT di hasrat-e-kaKH-o-ku liye

mere tumhaare samne arz-o-sama bhi kyun khule

kuza-ba-kuza baT gain jitni bhi thin sadaqaten

KHali hatheliyon pe ab harf-e-dua bhi kyun khule

shiddat-e-raqs-e-arzu apna jawaz aap thi

meri nigah par 'ada' meri KHata bhi kyun khule

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

His Nahin TaDap Nahin Bab-e-ata Bhi Kyun Khule In English By Famous Poet Ada Jafri. His Nahin TaDap Nahin Bab-e-ata Bhi Kyun Khule is written by Ada Jafri. Read famous Poem His Nahin TaDap Nahin Bab-e-ata Bhi Kyun Khule for youth and Student by Ada Jafri. Free Download His Nahin TaDap Nahin Bab-e-ata Bhi Kyun Khule in PDF.