Kahte Hain Ki Ab Humse KHata-kar Bahut Hain

kahte hain ki ab hum se KHata-kar bahut hain

ek rasm-e-wafa thi so wafadar bahut hain

lahje ki khanak ho ki nigahon ki sadaqat

yusuf ke liye misr ke bazar bahut hain

kuchh zaKHm ki rangat mein gul-e-tar ke qarin the

kuchh naqsh ki hain naqsh-ba-diwar bahut hain

rahon mein koi aabla-pa ab nahin milta

raste mein magar qafila-salar bahut hain

ek KHwab ka ehsan bhi uThae nahin uThta

kya kahiye ki aasuda-e-azar bahut hain

kyun ahl-e-wafa zahmat-e-bedad-nigahi

jine ke liye aur bhi aazar bahut hain

har jazb-e-betab ke ahkaam hazaron

har lamha-e-be-KHwab ke israr bahut hain

palkon talak aa pahunche na kirnon ki tamazat

ab tak to 'ada' aaina-bardar bahut hain

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahte Hain Ki Ab Humse KHata-kar Bahut Hain In English By Famous Poet Ada Jafri. Kahte Hain Ki Ab Humse KHata-kar Bahut Hain is written by Ada Jafri. Read famous Poem Kahte Hain Ki Ab Humse KHata-kar Bahut Hain for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Kahte Hain Ki Ab Humse KHata-kar Bahut Hain in PDF.