KanTa Sa Jo Chubha Tha Wo Lau De Gaya Hai Kya

kanTa sa jo chubha tha wo lau de gaya hai kya

ghulta hua lahu mein ye KHurshid sa hai kya

palkon ke bich sare ujale simaT gae

saya na sath de ye wahi marhala hai kya

main aandhiyon ke pas talash-e-saba mein hun

tum mujh se puchhte ho mera hausla hai kya

sagar hun aur mauj ke har daere mein hun

sahil pe koi naqsh-e-qadam kho gaya hai kya

sau sau tarah likha to sahi harf-e-arzu

ek harf-e-arzu hi meri intiha hai kya

ek KHwab-e-dil-pazir ghani chhanw ki tarah

ye bhi nahin to phir meri zanjir-e-pa hai kya

kya phir kisi ne qarz-e-murawwat ada kiya

kyun aankh be-sawal hai dil phir dukha hai kya

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KanTa Sa Jo Chubha Tha Wo Lau De Gaya Hai Kya In English By Famous Poet Ada Jafri. KanTa Sa Jo Chubha Tha Wo Lau De Gaya Hai Kya is written by Ada Jafri. Read famous Poem KanTa Sa Jo Chubha Tha Wo Lau De Gaya Hai Kya for youth and Student by Ada Jafri. Free Download KanTa Sa Jo Chubha Tha Wo Lau De Gaya Hai Kya in PDF.