Na Baam-o-dasht Na Dariya Na Kohsar Mile

na baam-o-dasht na dariya na kohsar mile

junun ki rah thi haalat sazgar mile

labon pe harf-e-shikayat bhi aa ke TuT gaya

wo KHud figar the jo hath sang-bar mile

udhar fasil-e-shab-e-gham idhar hai shahr-e-panah

saba se kahiyo wahin aa ke ek bar mile

ye bebasi to mere ahd ka muqaddar thi

dilon ko dagh-e-tamanna bhi mustaar mile

hatheliyon pe charagh-e-dua sajae hue

mile nigar-e-bahaaran to sharmsar mile

koi to rah-e-tamanna mein ham-safar hota

koi to ku-e-wafa mein KHata-shiar mile

mohabbaton se to pahle hi kya tawaqqo thi

murawwaton ke bhi daman tar tar mile

main kaise apne KHadd-o-KHal aaj pahchanun

jo aaina mile aaluda-e-ghubar mile

meri talab ki ye mearaj hai ki ijz 'ada'

jidhar se guzrun wahi ek rahguzar mile

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Baam-o-dasht Na Dariya Na Kohsar Mile In English By Famous Poet Ada Jafri. Na Baam-o-dasht Na Dariya Na Kohsar Mile is written by Ada Jafri. Read famous Poem Na Baam-o-dasht Na Dariya Na Kohsar Mile for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Na Baam-o-dasht Na Dariya Na Kohsar Mile in PDF.