Ujala De Charagh-e-rahguzar Aasan Nahin Hota

ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahin hota

hamesha ho sitara ham-safar aasan nahin hota

jo aankhon oT hai chehra usi ko dekh kar jina

ye socha tha ki aasan hai magar aasan nahin hota

baDe taban baDe raushan sitare TuT jate hain

sahar ki rah takna ta-sahar aasan nahin hota

andheri kasni raaten yahin se ho ke guzrengi

jala rakhna koi dagh-e-jigar aasan nahin hota

kisi dard-ashna lamhe ke naqsh-e-pa saja lena

akele ghar ko kahna apna ghar aasan nahin hota

jo Tapke kasa-e-dil mein to aalam hi badal jae

wo ek aansu magar ai chashm-e-tar aasan nahin hota

guman to kya yaqin bhi waswason ki zad mein hota hai

samajhna sang-e-dar ko sang-e-dar aasan nahin hota

na bahlawa na samjhauta judai si judai hai

'ada' socho to KHushbu ka safar aasan nahin hota

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ujala De Charagh-e-rahguzar Aasan Nahin Hota In English By Famous Poet Ada Jafri. Ujala De Charagh-e-rahguzar Aasan Nahin Hota is written by Ada Jafri. Read famous Poem Ujala De Charagh-e-rahguzar Aasan Nahin Hota for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Ujala De Charagh-e-rahguzar Aasan Nahin Hota in PDF.