Taufiq Se Kab Koi Sarokar Chale Hai

taufiq se kab koi sarokar chale hai

duniya mein faqat tala-e-bedar chale hai

Thahrun to chaTanon si kaleje pe khaDi hai

jaun to mere sath hi diwar chale hai

har ghuncha baDe chaw se khilta hai chaman mein

har daur ka mansur sar-e-dar chale hai

rangon ki na KHushbu ki kami hai dil-o-jaan ko

tosha jo chale sath wo ek KHar chale hai

dil ke liye bas aankh ka mear bahut hai

jo sikka-e-jaan hai sar-e-bazar chale hai

hairat se shagufon ki jhapakti nahin aankhen

kis aan se kanTon ka KHaridar chale hai

KHurshid wahan hum ne sulagte hue dekhe

kirnon ka jis aashob mein bewpar chale hai

ek jumbish-e-mizhgan ki ijazat bhi nahin hai

dil sath chala hai ki sitamgar chale hai

the KHizr bhi lakhon yahan isa bhi bahut the

aazar jo dil ka hai so aazar chale hai

(907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taufiq Se Kab Koi Sarokar Chale Hai In English By Famous Poet Ada Jafri. Taufiq Se Kab Koi Sarokar Chale Hai is written by Ada Jafri. Read famous Poem Taufiq Se Kab Koi Sarokar Chale Hai for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Taufiq Se Kab Koi Sarokar Chale Hai in PDF.