Waise Hi KHayal Aa Gaya Hai

waise hi KHayal aa gaya hai

ya dil mein malal aa gaya hai

aansu jo ruka wo kisht-e-jaan mein

barish ki misal aa gaya hai

gham ko na ziyan kaho ki dil mein

ek sahib-e-haal aa gaya hai

jugnu hi sahi fasil-e-shab mein

aaina-KHisal aa gaya hai

aa dekh ki mere aansuon mein

ye kis ka jamal aa gaya hai

muddat hui kuchh na dekhne ka

aankhon ko kamal aa gaya hai

main kitne hisar toD aai

jina tha muhaal aa gaya hai

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waise Hi KHayal Aa Gaya Hai In English By Famous Poet Ada Jafri. Waise Hi KHayal Aa Gaya Hai is written by Ada Jafri. Read famous Poem Waise Hi KHayal Aa Gaya Hai for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Waise Hi KHayal Aa Gaya Hai in PDF.