Wo Lamha Ki KHamoshi-e-shab Naghma-sara Thi

wo lamha ki KHamoshi-e-shab naghma-sara thi

kanon pe garan dil ke dhaDakne ki sada thi

jis moD pe chhoDi hai sahaaron ki tamanna

kahte hain baDa qahr wahi laghzish-e-pa thi

kyun aaj dhuan ban ke ufuq-ta-ba-ufuq hai

is sans mein kaliyon ke chaTakne ki sada thi

har lamha-e-betab ne DhunDi hain panahen

gunji thi KHamoshi teri aawaz to kya thi

har din ke sahife pe tera nam likha hai

har shab ki jabin tera nishan-e-kaf-e-pa thi

kya kahte ki honTon pe bas ek harf-e-wafa tha

kya kijiye har sans jo tazir-e-wafa thi

uThte hue dekha hai dhuan aatish-e-gul se

kya nikhat-e-barbaad jale dil ki dua thi

kya jaaniye marna bhi rawa hai ki nahin hai

takwin ke lab par mere jine ki dua thi

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Lamha Ki KHamoshi-e-shab Naghma-sara Thi In English By Famous Poet Ada Jafri. Wo Lamha Ki KHamoshi-e-shab Naghma-sara Thi is written by Ada Jafri. Read famous Poem Wo Lamha Ki KHamoshi-e-shab Naghma-sara Thi for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Wo Lamha Ki KHamoshi-e-shab Naghma-sara Thi in PDF.