Yahi Nahin Ki ZaKHm-e-jaan Ko Chaara-ju Mila Nahin

yahi nahin ki zaKHm-e-jaan ko chaara-ju mila nahin

ye haal tha ki dil ko ism-e-arzu mila nahin

abhi talak jo KHwab the charagh the gulab the

wo rahguzar koi na thi ki jis pe tu mila nahin

tamam umr ki masafaton ke baad hi khula

kabhi kabhi wo pas tha jo chaar su mila nahin

wo jaise ek KHayal tha jo zindagi pe chha gaya

rifaqaten thin aur yun ki ru-ba-ru mila nahin

tamam aainon mein aks the meri nigah ke

bhare nagar mein ek bhi mujhe adu mila nahin

wirasaton ke hath mein jo ek kitab thi mili

kitab mein jo harf hai sitara-KHu mila nahin

wo kaisi aas thi ada jo ku-ba-ku liye phiri

wo kuchh to tha jo dil ko aaj tak kabhu mila nahin

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Nahin Ki ZaKHm-e-jaan Ko Chaara-ju Mila Nahin In English By Famous Poet Ada Jafri. Yahi Nahin Ki ZaKHm-e-jaan Ko Chaara-ju Mila Nahin is written by Ada Jafri. Read famous Poem Yahi Nahin Ki ZaKHm-e-jaan Ko Chaara-ju Mila Nahin for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Yahi Nahin Ki ZaKHm-e-jaan Ko Chaara-ju Mila Nahin in PDF.