Main Saz DhunDti Rahi

ehsas-e-awwalin

ek mauhum iztirab sa hai

ek talatum sa pech-o-tab sa hai

umDe aate hain KHud-ba-KHud aansu

dil pe qabu na aankh par qabu

dil mein ek dard miTha miTha sa

rang chehre ka phika phika sa

zulf bikhri hui pareshan-haal

aap hi aap ji hua hai niDhaal

sine mein ek chubhan si hoti hai

aankhon mein kyun jalan si hoti hai

sar mein pinhan tasawwur-e-mauhum

hae ye aarzu-e-na-malum

ek nala sa hai baghair aawaz

ek halchal si hai na soz na saz

kyun ye haalat hai be-qarari ki

sans bhi khul ke aa nahin sakti

ruh mein intishaar sa kya hai

dil ko ye intizar sa kya hai

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Saz DhunDti Rahi In English By Famous Poet Ada Jafri. Main Saz DhunDti Rahi is written by Ada Jafri. Read famous Poem Main Saz DhunDti Rahi for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Main Saz DhunDti Rahi in PDF.