Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista

naghma-e-ishq-e-butan aur zara aahista

zikr-e-nazuk-badanan aur zara aahista

mere mahbub ki yaadon ke bhaDakte hain charagh

ai nasim-e-guzaran aur zara aahista

jis taraf se wo guzarte hain sada aati hai

ai qarar-e-dil-o-jaan aur zara aahista

dil har ek gam pe logon ne bichha rakkhe hain

aur ai sarw-e-rawan aur zara aahista

kucha-e-dost mein aahista-rawi ke ba-wasf

dil ye kahta hai yan aur zara aahista

un pe mauj-e-nafas-e-gul bhi giran guzre hai

pursish-e-gham-zadagan aur zara aahista

bandh kar ahd-e-wafa koi gaya hai mujh se

ai meri umr-e-rawan aur zara aahista

kam ibaadat se nahin zikr buton ka bhi 'aziz'

bare tausif-e-butan aur zara aahista

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista In English By Famous Poet Adeeb Saharanpuri. Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista is written by Adeeb Saharanpuri. Read famous Poem Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista for youth and Student by Adeeb Saharanpuri. Free Download Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista in PDF.