Nahin Kisi Ki Tawajjoh KHud-agahi Ki Taraf

nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf

koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf

tumhaara jalwa-e-masum dekh le ek bar

KHayal jis ka na jata ho bandagi ki taraf

mizaj-e-shaiKH-o-barhaman ki barhami malum

ki ab hayat ka ruKH hai KHud-agahi ki taraf

nazar wo log ujale mein KHud na aae kabhi

bula rahe hain jo duniya ko raushni ki taraf

jata rahe hain hamin ko na dekhna apna

wo dekh dekh ke mahfil mein har kisi ki taraf

hazar bar irada kiye baghair bhi hum

chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf

buton ne munh na lagaya 'adib' ko shayad

jhuke hue hain jabhi to ye shaiKH-ji ki taraf

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Kisi Ki Tawajjoh KHud-agahi Ki Taraf In English By Famous Poet Adeeb Saharanpuri. Nahin Kisi Ki Tawajjoh KHud-agahi Ki Taraf is written by Adeeb Saharanpuri. Read famous Poem Nahin Kisi Ki Tawajjoh KHud-agahi Ki Taraf for youth and Student by Adeeb Saharanpuri. Free Download Nahin Kisi Ki Tawajjoh KHud-agahi Ki Taraf in PDF.