Khaali Duniya Mein Guzar Kya Karte

KHali duniya mein guzar kya karte

bin tere umr basar kya karte

tu ne manzil hi badal di apni

hum tere sath safar kiya karte

ek hi KHwab-e-junun kafi tha

dekh kar bar digar kiya karte

apni hi uljhanon mein uljhe the

hum teri zulf ko sar kya karte

hum jo diwangi mein kar guzre

aql wale wo hunar kya karte

jo kiya tu ne KHuda jaanta hai

hum tere sath magar kya karte

jabki raste mein bikharna hi tha

bandh kar raKHt-e-safar kya karte

jism ka bojh liye lauTe the

shahr walon ko KHabar kya karte

jo kiya tu ne KHuda jaanta hai

hum tere sath magar kya karte

KHud zamin oDh li ki hum aage

aur be-samt safar kya karte

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khaali Duniya Mein Guzar Kya Karte In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Khaali Duniya Mein Guzar Kya Karte is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Khaali Duniya Mein Guzar Kya Karte for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Khaali Duniya Mein Guzar Kya Karte in PDF.