Jahan-e-ilm Ka Bab-e-nisab Hote Hue

jahan-e-ilm ka bab-e-nisab hote hue

bhaTak raha hun main ahl-e-kitab hote hue

kuchh aur bhi hai KHarabi ki dusri surat

main KHud ko dekh raha hun KHarab hote hue

jo kaam dil ko mere fitratan nahin bhate

unhen main kar nahin pata sawab hote hue

mere hi dam se hai jo kuchh bhi is jahan mein hai

main kaise KHud ko bhula dun janab hote hue

'adil' jo the in aankhon ki raushni kal tak

wo chehre dekh raha hun main KHwab hote hue

(1023) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan-e-ilm Ka Bab-e-nisab Hote Hue In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Jahan-e-ilm Ka Bab-e-nisab Hote Hue is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Jahan-e-ilm Ka Bab-e-nisab Hote Hue for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Jahan-e-ilm Ka Bab-e-nisab Hote Hue in PDF.