Humne Thama Yaqin Ko Guman ChhoD Kar

hum ne thama yaqin ko guman chhoD kar

ek taraf ho gae darmiyan chhoD kar

dil na mana jien kahkashan chhoD kar

ja ke baste kahan KHandan chhoD kar

apna ghar chhoD kar bastiyan chhoD kar

be-aman ho gae hum aman chhoD kar

so gae beach mein dastan chhoD kar

hum alag ho gae karwan chhoD kar

kaise nadan the hum sab kahan aa gae

apne aabao-jad ke makan chhoD kar

sath chalte rahe ye na socha kabhi

kaun jaega kis ko kahan chhoD kar

aaj bhi muntazir hum wahin hain tere

kal gaya tha hamein to jahan chhoD kar

rah apni nikali to manzil mili

hum chale jada-e-rahbaran chhoD kar

hai ye malum gar jism-o-jaan se gae

sab chale jaenge mehrban chhoD kar

gar tumhaari tamanna hai daim raho

jao zehnon mein raushan nishan chhoD kar

tum to tanha hue jite-ji hi 'adil'

log jate hain tanha jahan chhoD kar

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Thama Yaqin Ko Guman ChhoD Kar In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Humne Thama Yaqin Ko Guman ChhoD Kar is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Humne Thama Yaqin Ko Guman ChhoD Kar for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Humne Thama Yaqin Ko Guman ChhoD Kar in PDF.