Ye Zamini Bhi Hai Zamani Bhi

ye zamini bhi hai zamani bhi

fitrat-e-ishq aasmani bhi

shart hai jaan se jaiye pahle

hai ajab umr-e-jawedani bhi

tum ne jo dastan sunai hai

hai wahi to meri kahani bhi

kitne dilchasp lagne lagte hain

mere qisse teri zabani bhi

hain zaruri bahut hamare liye

ye faza aag aur pani bhi

ho gai KHatm ek kiran ke sath

raat bhi nind bhi kahani bhi

mat inhen jaaniye dar-o-diwar

in mein yaaden hain kuchh suhani bhi

in diwaron pe hi hui tahrir

mere man bap ki jawani bhi

hum jo ghar chhoD kar chale aae

the wo ajdad ki nishani bhi

la-makan hi ka zikr-e-KHair 'adil'

go hain qisse bahut makani bhi

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zamini Bhi Hai Zamani Bhi In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Ye Zamini Bhi Hai Zamani Bhi is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Ye Zamini Bhi Hai Zamani Bhi for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Ye Zamini Bhi Hai Zamani Bhi in PDF.