Aankhon Mein Aansuon Ko Ubharne Nahin Diya

aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya

miTTi mein motiyon ko bikharne nahin diya

jis rah par paDe the tere panw ke nishan

is rah se kisi ko guzarne nahin diya

chaha to chahaton ki hadon se guzar gae

nashsha mohabbaton ka utarne nahin diya

har bar hai naya tere milne ka zaiqa

aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya

ye hijr hai to is ka faqat wasl hai ilaj

hum ne ye zaKHm-e-waqt ko bharne nahin diya

itne baDe jahan mein jaega tu kahan

is ek KHayal ne mujhe marne nahin diya

sahil dikhai de to raha tha bahut qarib

kashti ko rasta hi bhanwar ne nahin diya

jitna sakun mila hai tere sath rah mein

itna sukun to mujhe ghar ne nahin diya

is ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki

main ne 'adim' us ko mukarne nahin diya

(1252) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Aansuon Ko Ubharne Nahin Diya In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Aankhon Mein Aansuon Ko Ubharne Nahin Diya is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Aankhon Mein Aansuon Ko Ubharne Nahin Diya for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Aankhon Mein Aansuon Ko Ubharne Nahin Diya in PDF.