Aisa Bhi Nahin Us Se Mila De Koi Aa Kar

aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar

kaisa hai wo itna to bata de koi aa kar

ye bhi to kisi man ka dulara koi hoga

is qabr pe bhi phul chaDha de koi aa kar

sukhi hain baDi der se palkon ki zabanen

bas aaj to ji bhar ke rula de koi aa kar

barson ki dua phir na kahin KHak mein mil jae

ye abr bhi aandhi na uDa de koi aa kar

ye koh ye sabza ye machalti hui nadiyan

mar jaun jo manzil ka pata de koi aa kar

har ghar pe hai aawaz har ek dar pe hai dastak

baiTha hun ki mujh ko bhi sada de koi aa kar

is KHwahish-e-nakaam ka KHun bhi mere sar hai

zinda hun ki is ki bhi saza de koi aa kar

(1126) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Bhi Nahin Us Se Mila De Koi Aa Kar In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Aisa Bhi Nahin Us Se Mila De Koi Aa Kar is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Aisa Bhi Nahin Us Se Mila De Koi Aa Kar for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Aisa Bhi Nahin Us Se Mila De Koi Aa Kar in PDF.