Gham Ke Har Ek Rang Se Mujhko Shanasa Kar Gaya

gham ke har ek rang se mujh ko shanasa kar gaya

wo mera mohsin mujhe patthar se hira kar gaya

ghurta tha main KHala mein to saji thin mahfilen

mera aankhon ka jhapakna mujh ko tanha kar gaya

har taraf uDne laga tarik sayon ka ghubar

sham ka jhonka chamakta shahar maila kar gaya

chaT li kirnon ne mere jism ki sari miThas

main samundar tha wo suraj mujh ko sahra kar gaya

ek lamhe mein bhare bazar sone ho gae

ek chehra sab purane zaKHm taza kar gaya

main usi ke rabte mein jis tarah malbus tha

yun wo daman khinch kar mujh ko barahna kar gaya

raat bhar hum raushni ki aas mein jage 'adim'

aur din aaya to aankhon mein andhera kar gaya

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ke Har Ek Rang Se Mujhko Shanasa Kar Gaya In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Gham Ke Har Ek Rang Se Mujhko Shanasa Kar Gaya is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Gham Ke Har Ek Rang Se Mujhko Shanasa Kar Gaya for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Gham Ke Har Ek Rang Se Mujhko Shanasa Kar Gaya in PDF.