Gham Hai Wahin Pa Gham Ka Sahaara Guzar Gaya

gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

dariya Thahar gaya hai kinara guzar gaya

bas ye safar hayat ka itni si zindagi

kyun itni jaldi rasta sara guzar gaya

wo jis ki raushni se chamakna tha baKHt ko

kis aasman se wo sitara guzar gaya

kya zikr us ghaDi ka kaDi thi ki sahl thi

jo waqt jis tarah bhi guzara guzar gaya

tafhim-e-dosti mein baDi bhul ho gai

phir dur se hi dost hamara guzar gaya

kar ke yaqin phir se ki main mushkilon mein hun

Thahra nahin wo shaKHs dobara guzar gaya

ek waqt KHush-nasib sa aaya to tha 'adim'

maddham si ek sada mein pukara guzar gaya

mujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'adim'

jo zehn mein basa tha nazara guzar gaya

(937) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Hai Wahin Pa Gham Ka Sahaara Guzar Gaya In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Gham Hai Wahin Pa Gham Ka Sahaara Guzar Gaya is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Gham Hai Wahin Pa Gham Ka Sahaara Guzar Gaya for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Gham Hai Wahin Pa Gham Ka Sahaara Guzar Gaya in PDF.