Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

samne baiTha tha mere aur wo mera na tha

wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su

main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha

raat bhar pichhli si aahaT kan mein aati rahi

jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha

main teri surat liye sare zamane mein phira

sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha

aaj milne ki KHushi mein sirf main jaga nahin

teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha

ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin

aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha

sainkaDon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab

ek patthar tha KHamoshi ka ki jo haTta na tha

yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'

bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha

maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'

warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha

(2758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha in PDF.