Ek Pal Baghair Dekhe Use Kya Guzar Gaya

ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya

aise laga ki ek zamana guzar gaya

sab ke liye buland rahe hath umr bhar

apne liye duaon ka lamha guzar gaya

koi hujum-e-dahr mein karta raha talash

koi rah-e-hayat se tanha guzar gaya

milna to KHair us ko nasibon ki baat hai

dekhe hue bhi us ko zamana guzar gaya

dil yun kaTa hua hai kisi ki judai mein

jaise kisi zamin se dariya guzar gaya

is baat ka malal bahut hai mujhe 'adim'

wo mere samne se akela guzar gaya

hum dekhne ka Dhang samajhte rahe 'adim'

itne mein zindagi ka tamasha guzar gaya

baqi bas ek nam-e-KHuda rah gaya 'adim'

sab kuchh baha ke waqt ka dariya guzar gaya

(1643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Pal Baghair Dekhe Use Kya Guzar Gaya In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Ek Pal Baghair Dekhe Use Kya Guzar Gaya is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Ek Pal Baghair Dekhe Use Kya Guzar Gaya for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Ek Pal Baghair Dekhe Use Kya Guzar Gaya in PDF.