Kyun Mere Lab Pe Wafaon Ka Sawal Aa Jae

kyun mere lab pe wafaon ka sawal aa jae

ain mumkin hai use KHud hi KHayal aa jae

hijr ki sham bhi sine se laga leta hun

kya KHabar yunhi kabhi sham-e-visal aa jae

ghar isi waste jangal mein badal Dala hai

shayad aise hi idhar mera ghazal aa jae

dhanak ubhre sar-e-aflak kaDi dhup mein bhi

dasht-e-wahshat mein agar tera KHayal aa jae

koi to uD ke dahakta hua suraj Dhanpe

gard hi sar pe ghaTaon ki misal aa jae

chhoD de wo mujhe taklif mein mumkin to nahin

aur agar aisi kabhi surat-e-haal aa jae

us ghaDi puchhunga tujh se ye jahan kaisa hai

jab tere husn pe thoDa sa zawal aa jae

kuchh nahin hai to bhulana hi use sikh 'adim'

zindagi mein tujhe koi to kamal aa jae

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Mere Lab Pe Wafaon Ka Sawal Aa Jae In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Kyun Mere Lab Pe Wafaon Ka Sawal Aa Jae is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Kyun Mere Lab Pe Wafaon Ka Sawal Aa Jae for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Kyun Mere Lab Pe Wafaon Ka Sawal Aa Jae in PDF.