Logon Ke Dard Apni Pashemaniyan Milin

logon ke dard apni pashemaniyan milin

hum shah-e-gham the hum ko yahi raniyan milin

sahraon mein bhi ja ke nazar aae sail-e-ab

dariya se dur bhi hamein tughyaniyan milin

aaya na phir wo daur ki ji bhar ke kheliye

bachpan ke baad phir na wo nadaniyan milin

rah kar alag bhi sath raha hai koi KHayal

tanhai mein bhi KHud pe nigahbaniyan milin

pani ke sath aks bhi bah kar chale gae

sukhi nadi to phir wahi viraniyan milin

apni hi aankh par gae lamhon ka bojh tha

is ki nazar mein to wahi jaulaniyan milin

baiTha raha huma-e-sitam sar pe hi 'adim'

har dasht-e-karb ki hamein sultaniyan milin

(1096) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Logon Ke Dard Apni Pashemaniyan Milin In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Logon Ke Dard Apni Pashemaniyan Milin is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Logon Ke Dard Apni Pashemaniyan Milin for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Logon Ke Dard Apni Pashemaniyan Milin in PDF.