Main Guftugu Hun Ki Tahrir Ke Jahan Mein Hun

main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun

mujhe samajh to sahi main teri zaban mein hun

KHud apni sans ki rukti hai apne chalne se

ye kya ghuTan hai main kis tang se makan mein hun

jila raha hai mare jism ko mera hi kamal

main ek tir hun TuTi hui kaman mein hun

guzar rahi hai mare sar se gahakon ki nigah

zara si chiz hun lekin baDi dukan mein hun

mere qarib se guzra nahin hai sang-tarash

mujassama hun main ab tak magar chaTan mein hun

mujhi mein gunj rahi hai mere suKHan ki sada

nawa-e-garm hun main dasht-e-be-zaban mein hun

'adim' baiTha hua hun paron ke Dher pe main

KHush is tarah hun ki jaise kisi uDan mein hun

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Guftugu Hun Ki Tahrir Ke Jahan Mein Hun In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Main Guftugu Hun Ki Tahrir Ke Jahan Mein Hun is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Main Guftugu Hun Ki Tahrir Ke Jahan Mein Hun for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Main Guftugu Hun Ki Tahrir Ke Jahan Mein Hun in PDF.