Mere Raste Mein Bhi Ashjar Ugaya Kije

mere raste mein bhi ashjar ugaya kije

main bhi insan hun mere sar pe bhi saya kije

raat din rah mein aankhen na bichhaya kije

raushni mein to charaghon ko bujhaya kije

aap itna to mere waste kar sakte hain

aap us shaKHs ki baaten hi sunaya kije

hath mein jo hai bahaar us ko to aane dije

kaghazon par to hare peD banaya kije

raste dhup se pighle hi chale jate hain

aap baadal hain to phir shahr pe saya kije

qaid-e-tanhai mein kya aaegi koi aawaz

baiTh kar apni hi zanjir hilaya kije

ja chuka shahr se wo apni udasi le kar

umr bhar ab dar-o-diwar sajaya kije

lijiye toD gaya dam wo sadaon ka Dasa

chiKHiye ab ki yahan shor machaya kije

phul khilte hain kahan KHushk chaTanon mein 'adim'

rah ke sang hi aankhon se lagaya kije

(1225) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Raste Mein Bhi Ashjar Ugaya Kije In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Mere Raste Mein Bhi Ashjar Ugaya Kije is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Mere Raste Mein Bhi Ashjar Ugaya Kije for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Mere Raste Mein Bhi Ashjar Ugaya Kije in PDF.