Mufahamat Na Sikha Jabr-e-narawa Se Mujhe

mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe

main sar-ba-kaf hun laDa de kisi bala se mujhe

zaban ne jism ka kuchh zahr to ugal Dala

bahut sukun mila talKHi-e-nawa se mujhe

racha hua hai badan mein abhi surur-e-gunah

abhi to KHauf nahin aaega saza se mujhe

main KHak se hun mujhe KHak jazb kar legi

agarche sans mile umr bhar hawa se mujhe

ghiza isi mein meri main isi zamin ki ghiza

sada phir aati hai kyun parda-e-KHala se mujhe

main ji raha hun abhi ai zamin-e-adam-KHor

abhi to dekh na tu itni ishtiha se mujhe

bikhar chuka hun main ab mujh ko mujtama kar le

tu ab sameT bhi apni kisi sada se mujhe

main mar raha hun phir aae sada-e-kun-fayakun

banaya jae miTa ke phir ibtida se mujhe

main sar-ba-sajda hun ai 'shimr' mujh ko qatl bhi kar

rihai de bhi ab is ahd-e-karbala se mujhe

main kuchh nahin hun to phir kyun mujhe banaya gaya

ye puchhne ki ijazat nahin KHuda se mujhe

main reza reza badan ka uTha raha hun 'adim'

wo toD hi to gaya apni iltija se mujhe

(13883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mufahamat Na Sikha Jabr-e-narawa Se Mujhe In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Mufahamat Na Sikha Jabr-e-narawa Se Mujhe is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Mufahamat Na Sikha Jabr-e-narawa Se Mujhe for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Mufahamat Na Sikha Jabr-e-narawa Se Mujhe in PDF.