Rahat-e-jaan Se To Ye Dil Ka Wabaal Achchha Hai

rahat-e-jaan se to ye dil ka wabaal achchha hai

us ne puchha to hai itna tera haal achchha hai

mah achchha hai bahut hi na ye sal achchha hai

phir bhi har ek se kahta hun ki haal achchha hai

tere aane se koi hosh rahe ya na rahe

ab talak to tere bimar ka haal achchha hai

ye bhi mumkin hai teri baat hi ban jae koi

use de de koi achchhi si misal achchha hai

daen ruKHsar pe aatish ki chamak wajh-e-jamal

baen ruKHsar ki aaghosh mein KHal achchha hai

aao phir dil ke samundar ki taraf lauT chalen

wahi pani wahi machhli wahi jal achchha hai

koi dinar na dirham na riyal achchha hai

jo zarurat mein ho maujud wo mal achchha hai

kyun parakhte ho sawalon se jawabon ko 'adim'

honT achchhe hon to samjho ki sawal achchha hai

(1574) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahat-e-jaan Se To Ye Dil Ka Wabaal Achchha Hai In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Rahat-e-jaan Se To Ye Dil Ka Wabaal Achchha Hai is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Rahat-e-jaan Se To Ye Dil Ka Wabaal Achchha Hai for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Rahat-e-jaan Se To Ye Dil Ka Wabaal Achchha Hai in PDF.