RaKHt-e-safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo

raKHt-e-safar yunhi to na bekar le chalo

rasta hai dhup ka koi diwar le chalo

taqat nahin zaban mein to likh hi lo dil ki baat

koi to sath surat-e-izhaar le chalo

dekhun to wo badal ke bhala kaisa ho gaya

mujh ko bhi us ke samne is bar le chalo

kab tak nadi ki tah mein utaroge kashtiyan

ab ke to hath mein koi patwar le chalo

paDti hain dil pe gham ki agar silwaTen to kya

chehre pe to KHushi ke kuchh aasar le chalo

jitne bhanwar kahoge pahan lunga jism par

ek bar to nadi ke mujhe par le chalo

kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi

tohfa koi to us ke liye yar le chalo

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RaKHt-e-safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo In English By Famous Poet Adeem Hashmi. RaKHt-e-safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem RaKHt-e-safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download RaKHt-e-safar Yunhi To Na Bekar Le Chalo in PDF.