Sar-e-sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rahta Hai

sar-e-sahra musafir ko sitara yaad rahta hai

main chalta hun mujhe chehra tumhaara yaad rahta hai

tumhaara zarf hai tum ko mohabbat bhul jati hai

hamein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rahta hai

mohabbat mein jo Duba ho use sahil se kya lena

kise is bahr mein ja kar kinara yaad rahta hai

bahut lahron ko pakDa Dubne wale ke hathon ne

yahi bas ek dariya ka nazara yaad rahta hai

sadaen ek si yaksaniyat mein Dub jati hain

zara sa muKHtalif jis ne pukara yaad rahta hai

main kis tezi se zinda hun main ye to bhul jata hun

nahin aana hai duniya mein dobara yaad rahta hai

(4751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rahta Hai In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Sar-e-sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rahta Hai is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Sar-e-sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rahta Hai for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Sar-e-sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rahta Hai in PDF.