Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Ke Nisab Mein

shamil tha ye sitam bhi kisi ke nisab mein

titli mili hanut purani kitab mein

dekhunga kis tarah se kisi ko azab mein

sab ke gunah Dal de mere hisab mein

phir bewafa ko bahr-e-mohabbat samajh liya

phir dil ki naw Dub gai hai sarab mein

pahle gulab us mein dikhai diya mujhe

ab wo mujhe dikhai diya hai gulab mein

wo rang-e-atshin wo dahakta hua shabab

chehre ne jaise aag laga di naqab mein

barish ne apna aks kahin dekhna na ho

kyun aaine ubharne lage hain habab mein

gardish ki teziyon ne use nur kar diya

miTTi chamak rahi hai yahi aaftab mein

us sang-dil ko main ne pukara to tha 'adim'

apni sada hi lauT kar aai jawab mein

(1723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Ke Nisab Mein In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Ke Nisab Mein is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Ke Nisab Mein for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Shamil Tha Ye Sitam Bhi Kisi Ke Nisab Mein in PDF.