Tamam Umr Ki Tanhai Ki Saza De Kar

tamam umr ki tanhai ki saza de kar

taDap uTha mera munsif bhi faisla de kar

main ab marun ki jiyun mujh ko ye KHushi hai bahut

use sukun to mila mujh ko bad-dua de kar

main us ke waste suraj talash karta hun

jo so gaya meri aankhon ko rat-jaga de kar

wo raat raat ka mehman to umr bhar ke liye

chala gaya mujhe yaadon ka silsila de kar

jo wa kiya bhi daricha to aaj mausam ne

pahaD Dhanp diya abr ki rida de kar

kaTi hui hai zamin koh se samundar tak

mila hai ghaw ye dariya ko rasta de kar

chaTaKH chaTaKH ke jali shaKH shaKH jangal ki

bahut sharar mila aag ko hawa de kar

phir is ke baad pahaD us ko KHud pukarenge

tu lauT aa use wadi mein ek sada de kar

sutun-e-reg na Thahra 'adim' chhat ke tale

main Dah gaya hun KHud apne ko aasra de kar

(1301) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Umr Ki Tanhai Ki Saza De Kar In English By Famous Poet Adeem Hashmi. Tamam Umr Ki Tanhai Ki Saza De Kar is written by Adeem Hashmi. Read famous Poem Tamam Umr Ki Tanhai Ki Saza De Kar for youth and Student by Adeem Hashmi. Free Download Tamam Umr Ki Tanhai Ki Saza De Kar in PDF.